Kahan aakey rukney they Raastey
Kahan moor tha usey bhool ja

Jo mil gaya usey yaad rakh
Jo naa mil saka Usey bhool ja

Wo terey naseeb ki baarishain
Kisi or chat per baras gayien

Dil be‘khaber merey baat sun
Usey bhool ja ,usey bhool jaa

Main to Gham tha terey dihaan main
Teri aas mian terey gumaan main

Sab keh gayien merey kaan main
Merey saath aa usey bhool jaa

Kisi aankh mian Ashk-e-Gham
Nahi terey baad bhi kuch nahi hum

Tujhey zindagi ney bhula diya
Tu bhi muskura ab usey bhool ja

Woh aankh hi na teri aankh thi
Woh khuwaab na tera khuwaab tha

Dil muntazir tu kis liye ….!
Tera jaagna Usey bhool jaa …

Related Posts