Ujala hogaya, hum to abhi andhere mein hai
Duniya bhul gayi, hum to abhi yaad karte reha gaye
Waqt chala gaya, hum to wahi ruk gaye
Tum wo pyar bhul gaye, hum to mohabbat karne lage
tum zindagi jine lage, hum moth ke kareeb agaye
itna fasla ho ke bhi, aap dil ke kareeb reh gaye
Kabhi to tumko bhi hamhari, yun yaad aati hoge.
kabhi to tumhara dil bhi, milne ka karta hoga.
Tor ke dil hamahara, kabhi tumhara bhi to dil rota hoga.
Beeteh hue baatein soch kar,
tumhare aankeh bhi to bher aati hoge.
Itne dur jakar, vapis aane ko dil tumhara bhi to karta hoga.
Tor ke dil dil hamara, kabhi pachtava tumko [...]
Ansoon ko aankhoon ki dehleez par laya na karo
apne dil ki halat kisi ko bataya na karo,
Log mutthi bhar namak liye ghuma karte hain
apne zakhm kisi ko dikhaya na karo!!!
Lagta hai bohat mushkil
Zindagi ka yeh safar mujhay
Lekin dil ko hai yaqeen
Hojayega sub kuch asaan
Jub tera sath milayga mujhay
Hongi haseen woh raatein
Jo guzraingi teray saath
Kartay rahaingay baatein
Hathon mein lay kar hath
Yaad Karta Hoon Tumhe Yaad Aati Hi Nai
Kaise Aayae Woh Cheez Jo Jaati Hi Nahi
Tum mujhe bhool bhi jaao to ye haq hai tumko
Meri baat aur hai maine to mohabbat ki hai
Judai ka pata hota agar pyaar se pehle,
To maut ki duva mangte hum deedar se pehle.
Peete hain sharaab hum jinhe bhulane ke liye
wo hi [...]
Pratibimbit hon jab
nisheeth ke taare,
Shant ho jab har aik disha
aur koi tumhen pukare,
shoonya main de jab sunaaee
kisi aagantuk ki pad dhwani,
man ke dwar par de jab
koi dheemi si dastak,
jab hone lage dheemee aanch pe-
ushna, sanson ki aandhi,
samajh lena, mil gaya hai
tumko naya janam….
Raaz ki baatain likhin aur khat khula rehnay diya,
Jaanay kyun rusvaiyon ka silsila rehnay diya
Umar bhar meray saath reh kar woh na samjha dil ki baat,
Do dilon kay darmiyan aik faasla rehnay diya !
Apni fitrat woh badal paaya na iskay bawajood,
Khatam ki ranjish magar gila rehnay diya !
Main samajhti thi khushi degi mujhay `Sabir’ fareb,
Isliye [...]
Woh jisne mohabbat ki baazi na kheli
Kya khaak zamane mein woh insaan jiya hai
Hamari tumhari kuch alag baat hogi
Ishq to duniya mein bahuton ne kiya hai
Bin piye jo main ladkhadda raha hoon
Yeh aankhon ne teri bataa kya kiya hai
Manzil ki talash mein gaya tha musafir
Raaste ne khud usko bhatkaa diya hai
Naye dhang hain ab, zamaane naye hain
Na aane ke un ke, bahaane naye hain
Nahin kuch hai badla riwaaj-e-muhabbat
Hai qissa wahi par, diwaane naye hain
Nigaahon ki aadat wahi hai puraani
Nishaana wahi par, nishaane naye hain
Agar aik bichda nasheman to kya gham
Banaane hamen aashiyaane naye hain
Badal kar taqdeer-e-sanam sochte hain
Hue haal apne puraane, naye haiN